Song - Aaye hain door se milne huzoor se
Movie - Tumsa Nahin Dekha (1957)
Singers - Asha Bhonsle, Rafi,
Lyrics - Majrooh Sultanpuri
Lyrics
aaye hain door se,
milne huzoor se
aise bhi chup na rahiye,
kahiye ji kuchh to kahiye
din hai ke raat hai
tumse mehmaan kaa,
mujhpe ehsaan kyaa
laakhon hi zulfon waale,
aate hain gheraa daale
meri kyaa baat hai
aaye hain door se,
milne huzoor se
aise bhi chup na rahiye,
kahiye ji kuchh to kahiye
din hai ke raat hai
uth ke to dekhiye,
kaisi fizaa hai
sharmaanaa chhodiye,
ye kyaa adaa hai
uth ke to dekhiye,
kaisi fizaa hai
sharmaanaa chhodiye,
ye kyaa adaa hai
taubaa ye kyaa farmaayaa
main to yoon hi sharmaayaa
taubaa ye kyaa farmaayaa
main to yoon hi sharmaayaa
meri kyaa baat hai
aaa aaa
aaye hain door se,
milne huzoor se
aise bhi chup na rahiye,
kahiye ji kuchh to kahiye
din hai ke raat hai
dikhti hai roz hi,
aisi fizaayen
mukhde ke saamne,
kaali ghataayen
arre
dikhti hai roz hi,
aisi fizaayen
mukhde ke saamne,
kaali ghataayen
koyi chal jaaye jaadoo,
phir ham poochhenge baabu
koyi chal jaaye jaadoo,
phir ham poochhenge baabu
din hai ke raat hai
ho o o
tumse mehmaan kaa,
mujhpe ahsaan kyaa
laakhon hi zulfon waale,
aate hain gheraa daale
meri kyaa baat hai
aa aa aa
aaye hain door se,
milne huzoor se
aise bhi chup na rahiye,
kahiye ji kuchh to kahiye
din hai ke raat hai
ho o o
tumse mehmaan kaa,
mujhpe ahsaan kyaa
laakhon hi zulfon waale,
aate hain gheraa daale
meri kyaa baat hai
0 comments:
Post a Comment